Rukhsat Hua To Aankh Mila Kar Nahi Gaya
Rukhsat Hua To Aankh Mila Kar Nahi Gaya
Wo Kyun Gaya Yeh Bhi Bata Kar Nahi Gaya
Wo yun Gaya k bad e saba yaad aa Gai
Ehsas tak bhi hum ko dila kar nahi Gaya
Yun Lag Raha Hai Jaise Abhi Lout Aaye Ga
Jate Hua Charagh Bujha Kar Nahi Gaya
Bas eik lakeer khanch gaya darmiyan mein
Diwaar raste mein bana kar nahi Gaya
Shayad wo mil hi jaye magar justujo hai shart
Wo apne nakhs e paa to mita kar nahi Gaya
Ghar Mein Hai Aaj Bhi Wohi Khushbu Basi Hui
Lagta Hai Yun K Jaise Wo Aa Kar Nahi Gaya
Tab tak to phool jaisi hi taza thi uski yaad
Jab tak wo pattiyon ko juda kar nahi gaya
Rehne Diya Na Us Ne Kisi Kaam Ka Mujhe
Aur Khak Mein Bhi Mujh Ko Mila Kar Nahi Gaya
Shezad ye gila hi raha uski zaat se
Jate howe wo koi gila kar nahi Gaya
Tum Kya Samjhte Ho Mohabbat Ko
Chaar Harfon Me Ek Aziyat Hai...
وقت کے ساتھ ساتھ میں بہت کچھ سمجھتی گئی
لوگوں نے مجھے چپ کرا دیا اور میں چپ ہوتی گئی
ہر کوئی نظرانداز کرتا رہا
اور میں نظرانداز ہوتی رہی
دل میں ہیں بہت سی باتیں
پر کوئی سنتا نہیں
خوش تھی میں بھی اپنے بچپن میں
پر کبھی کسی نے مجھے بچہ سمجھ ہی نہیں
سبھی رنگ تیری چاھت کے آج اتر جانے دے
ٹھہر جا دو پل کہ ھمیں پتھر کا ھو جانے دے
پھر نجانے تجھے میسر بھی آئیں فرصتیں کہ نہیں
کچھ پل جو میرے ساتھ ھو تو میری ھمراھی میں گزر جانے دو
تیرے بعد تو روز جئیں گے روز مریں گے ھم
آئیں گے تجھے بھی یاد زرا موسم ھجراں گزر جانے دو
زندگی میری تھی اسے دنیا والوں نے گزارا
ھوگا سبکو احساس ذرا ھمکو مر جانے دو
Paa Sakenge Na Umar Bhar Jis Ko
Justajoo Aj Bhi Usi Ki Hai...
Udaasi Cheekhti Hai Qehqahon Main
Humara Dard Sub Se Mukhtalif Hai...
Shaam Hote Hi Chiraghon Ko Bujha Deta Hun
Dil Hi Kafi Hai Teri Yaad Main Jalne K Liye...
Hum Ghareebon Ka Dil Dukhaya Hai
Ja Mohabbat Tujhe Khuda Poochy...
Nigahon K Tasadum Se Ajab Taqrar Karta Hai
Yaqeen Kamil Nahi Lekin Guman Hai Pyar Karta Hai...
Kon Ab Roz Roz Yaad Kary
Hum Usy Hifz Kar K Bethy Hain...
Jate Hue Ji Bhar K Usy Dekh To Loon
Aye Aankh! Theher Tujh Ko To Rony Ki Pari Hai...
Raat Bhar Khawab Bohat Ajeeb Dekhta Hun
Mera Naseeb K Tujh Ko Qareeb Dekhta Hun
Mujh Ko Chor Beech Bhanwar Pardais Jane Wale
Bin Tere Khud Ko Behad Ghareeb Dekhta Hun
Barhaye Hain Tu Ne Logon Se Jo Mail-O-Marasam
Har Dusre Shakhs Ko Apna Raqeeb Dekhta Hun
Taskheer Kar Rakha Hai Jo Chaah Ne Mujh Ko
Pagal Ho Gaya Hun Khud Ko Shareef Dekhta Hun
Badla Hai Jo Yoon Sanam Ne Andaaz-E-Bayan
Soya Hua Main Apna Naseeb Dekhta Hun
Jab Se Khola Hai Raaz Apni Ulfat Ka Paaris
Zamany Ko Khamkha Apna Hareef Dekhta Hun...
Post a Comment