Hum Ne Ankhon Ko Jab Nichora To
Hum Ne Ankhon Ko Jab Nichora To
Aik Aansoo Hazaar Khawab Giry...
Apni Shakhsiyat Ki Tujhe Kya Misaal Doon
Log Mash-Hoor Ho Gaye Mujhe Badnaam Karte Karte...
جو میں نے پوچھا کہ ساتھ دو گے؟
کہا تھا تم نے
بہت ہیں ساتھی
نہیں ہے ممکن
سبھی کو کھو کر تمہارا ہونا
منا کے ماتم بہت ہے سوچا
یقین آیا کے تم ہو سچے
تمہاری فطرت ہی میں نہیں ہے
کے خود سے ہٹ کر
کسی کو سوچو
نہیں ہے چاہت
تمہیں کسی کی
کسی کو چاہو
تو اس کو روکو
ہماری خواہش سدا یہی تھی
یہی رہے گی
سہل ہو جیون تمہارا ہمدم
ملے جو فرصت تو ملنا مجھ سے
تمہارے مسئلے کا حل ہے سوچا
سبھی کو کھو کر ہمارا ہونا
تمہیں جو دشوار لگ رہا تھا
تو فکر چھوڑو
سبھی کو رکھو بنا کے ساتھی
تمہیں بدلنا نہیں ہے آتا
تو کیا ہوا پھر
کہانی باقی وہی رہے گی
بس ایک کردار مر گیا ہے
ملے جو فرصت تو اس سے ملنا
Umer Se Rattjaga Nahi Jata
Khawab Ka Silsila Nahi Jata
Gark Hon Ek Hi Baar Is Ghum Mai
Thora Thora Mara Nahi Jata
Chal Nikalta Hon Be Khayali Mai
Jis Taraf Rasta Nahi Jata
Phir Wo Ghum Ankh Se Tapakta Hai
Jo Zuban Se Kaha Nahi Jata
Itna Masroof Hon Muhabbat Mai
Aur Kuch Bhi Kiya Nahi Jata
Admi Jitni Bhi Ozar Karle
Rog Is Hijar Ka Nahi Jata
Tegh Ke Waar Bhi Mai Seh Lon Mohsin
Talkh Lehja Magar Saha Nahi jata
Teri Yaadein Kaanch K Tukray
Mera Ishq Nangay Paun...
Kitni Dilkash Hai Laparwahi Us Ki
Meri Sari Mohabbat Fazool Ho Jese...
Qadar Na Karo To Chin Jata Hai
Phir Chahe Wo Rizq Ho Ya Mohabbat...
raat k badmizaj wo lamhay
chand jin main bohot akela ho
raat k na muraad wo lamhay
jin main be chain c koi mayyat
zindgi k liye tarasti ho
aor ghutt ghutt k saans leti ho
aor taaron main soag barpa ho
raat k be qarar wo lamhay
jin main ankhen faqat barasti hon
ik teri deed ko tarasti hon
raat k be sabaat wo lamhay
hosla jin main toot jata hai
hijr bhi shaan se khara ho kar
door se qehqahay lagata hai
raat k in tamaam lamhon ko
tu na aa kar guzaar deta hai
ab to ghar janay pe dukh hota hai
youn theher janay pe dukh hota hai
itna manoos nahi hojatay
phir bichar janay pe dukh hota hai
wo gali ab bhi hai wesi lekin
bas guzar janay pe dukh hota hai
aik din ho to guzar bhi jaye
roz mar janay pe dukh hota hai
ab ye bachpan to nahi so hum ko
aisay dar janay pe dukh hota hai
saaf goyi thi munasib phir bhi
bas mukar janay pe dukh hota hai
tum jahan hum se mila kartay thay
ab udhar janay pe dukh hota hai
is liye phool nahi hota main
bas bikhar janay pe dukh hota hai
hum to maqtal bhi khushi se jayen
ab kidhar janay pe dukh hota hai
Post a Comment