Mujhe Ab Dar Nahi Lagta
Mujhe Ab Dar Nahi Lagta
Kisi Ke Door Jane Se
Taluq Toot Jane Se
Kisi K Maan Jane Se
Kisi K Rooth Jane Se
Mujhe Ab Dar Nahi Lagta
Kisi Ko Aazmane Se
Kisi K Aazmane Se
Kisi Ko Yaad Karne Se
Kisi Ko Bhool Jane Se
Mujhe Ab Dar Nahi Lagta
Kisi Ko Chor Dene Se
Kisi K Chor Jane Se
Na Samaa Jalane Se
Na Sama Bujhane Se
Mujhe Ab Dar Nahi Lagta
Akele Muskurane Se
Kabhi Aansu Bahane Se
Na Is Sare Zamane Se
Haqeeqat Se Fasane Se
Mujhe Ab Dar Nahi Lagta
Kisi Ki NaRasai Se
Kisi K Parsai Se
Kisi Ki Bewafai Se
Kisi Dukh Intehai Se
Mujhe Ab Dar Nahi Lagta
Na To Is Paar Rehne Se
Na To Us Paar Rehne Se
Na Apni Zindagani Se
Na Ik Din Maut Aane Se
Yaar To Dhoondte Rehte Hain Mere Aibon Ko
Tum Ho Dushman To Meri Bat Samajh Sakte Ho...
Toot Kar Chubh Raha Hai Ankhon Main
Kaanch Ka Tha Mera Khawab Shayad...
Usy Ishq Tha Meri Zaat Se
Mujhe Umar Bhar Ye Gumaan Raha...
Tumhare Dairon Me Ek Umar Se Mehw-E-Gardish Hun
Mera Markaz Nahi Badla, Mera Mehwar Nahi Badla...
Chup Rahe To Khoob Ache Rahe
Zara Jo Bole To Bad-Zabaan Thehre...
tumhain dil se mita dene ka mosam tha
so kya kartay bhula dene ka mosam tha
hawa k zorr se darna bhi kya darna
diya youn bhi bujha dene ka mosam tha
hawayen maatmi hone lageen kiu kar
abi to muskura dene ka mosam tha
zaban to chup rahi ankhen na reh payin
tumhain sb se chupa dene ka mosam tha
isi khatir tumhain hum ne bulaya hai
ana ka dar gira dene ka mosam tha
mujhay hi us ne afsana bana dala
koi qissa suna dene ka mosam tha
ishq darya main nahi koi kinaara yaara
tu ne kis morr pe aa mujh ko pukara yaara
kis tarah chaand saja aa k tere mathay per
kese utra teri ankhon main sitara yaara
jeet ja jashn bhi chup chup k manaya tu ne
dekh main kese tere samne haara yaara
chekhne lag gayi andar ki udaasi mujh main
main ne ro ro k tujhay itna pukara yaara
aik bhi pal nahi kat'ta tha tujhay dekhay bin
ab tere baad karen kese guzara yaara
main to ab bhi hon teri ankh se ojhal manzar
tu to ab bhi hai mujhay jan se pyara yaara
tum bhi ab sheher ki baton main chalay atay ho
ab tumhain kese kahon main hon tumhara yaara
yeh sitaray jo lab e baam nikal atay hain
iss tarah aap k peghaam nikal atay hain
kya karon zehn kaheen aor lagaon phir bhi
khud bakhud aap k aohaam nikal atay hain
jab bhi wo pyar se leta hai mera naam kabhi
loag phir kiu mere hum naam nikal atay hain
wo jo mou pher k har roz chala jata hai
us ko phir mujh se kayi kaam nikal atay hain
zaat ki qaid main ik umar inhain rakhta hon
phir bhi jazbay kayi be naam nikal atay hain
Post a Comment