Suna Hai Log Use Aankh Bhar Ke Dekhte Hain Urdu Romantic Ahmad Faraz Poetry - Urdu Hindi Love Poetry

Suna Hai Log Use Aankh Bhar Ke Dekhte Hain Urdu Romantic Ahmad Faraz Poetry

Hello Mere Pyary Nazreen, aaj ap Ahmad Faraz poet ki poetry Pahrne ja rahe ha inko kisi tauf ki zarorat ha ye apne ap mai 1 bhari misal ha, aaj hum mere pyary or dil azed Poet Ahmad Faraz Shab ki Poetry Pahrne ja rahe ha jis ka Naam ha Suna Hai Log Use Aankh Bhar Ke Dekhte Hain yeh boht hi umda qalam qari ha Ahmad Faraz Shab ki, Inki popular poetries mai shamil ha Bhali si ek Shakl thi, Ahmad Faraz in ka Real name Syed Ahmed Shah ha or log iny Ahmed Faraz Rekhta ke name se janty ha.

suna hai log use aankh bhar ke dekhte hain
so us ke shahr men kuchh din Thahar ke dekhte hain

Suna Hai Log Use Aankh Bhar Ke Dekhte Hain Urdu Romantic Poetry Ghazal

suna hai rabt hai us ko ḳharab-halon se
so apne aap ko barbad kar ke dekhte hain

suna hai dard kī gahak hai chashm-e-naz us kī
so ham bhī us kī galī se guzar ke dekhte hain

suna hai us ko bhī hai sher o sha.irī se shaġhaf
so ham bhī mo.ajize apne hunar ke dekhte hain

suna hai bole to baton se phuul jhaḌte hain
ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain

suna hai raat use chand takta rahta hai
sitare bam-e-falak se utar ke dekhte hain

suna hai din ko use titliyan satatī hain
suna hai raat ko jugnū Thahar ke dekhte hain

suna hai hashr hain us kī ġhazal sī ankhen
suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain

suna hai raat se baḌh kar hain kakulen us kī
suna hai shaam ko saa.e guzar ke dekhte hain

suna hai us kī siyah-chashmagī qayamat hai
so us ko surma-farosh aah bhar ke dekhte hain

suna hai us ke labon se gulab jalte hain
so ham bahar pe ilzam dhar ke dekhte hain

suna hai aa.ina timsal hai jabīn us kī

jo saada dil hain use ban-sanvar ke dekhte hain
suna hai jab se hama.il hain us kī gardan men

mizaj aur hī laal o guhar ke dekhte hain
suna hai chashm-e-tasavvur se dasht-e-imkan men

palang zaviye us kī kamar ke dekhte hain

suna hai us ke badan kī tarash aisī hai
ki phuul apnī qaba.en katar ke dekhte hain

vo sarv-qad hai magar be-gul-e-murad nahīn
ki us shajar pe shagūfe samar ke dekhte hain

bas ik nigah se luTta hai qafila dil ka

so rah-ravan-e-tamanna bhī Dar ke dekhte hain
suna hai us ke shabistan se muttasil hai bahisht

makīn udhar ke bhī jalve idhar ke dekhte hain
ruke to gardishen us ka tavaf kartī hain

chale to us ko zamane Thahar ke dekhte hain
kise nasīb ki be-pairahan use dekhe

kabhī kabhī dar o dīvar ghar ke dekhte hain

kahaniyan hī sahī sab mubalġhe hī sahī
agar vo ḳhvab hai tabīr kar ke dekhte hain

ab us ke shahr men Thahren ki kuuch kar jaa.en
'faraz' aao sitare safar ke dekhte hain

This Ghazal is From :

Film: Jannat Ki Talaash (1999)

romantic ghazal lyrics, romantic ghazal shayari, romantic love ghazal in hindi
Powered by Blogger.