Arzo Liye Behtha Hon Sun Le - Urdu Hindi Love Poetry

Arzo Liye Behtha Hon Sun Le

Jaise taray tote howe
aasman se rothe howe

wese hum tum bhi bikhre howe
wese hum tum bhi bichre howe

khawab sare tehre howe jo
aankhon se meri hi chon lena

Arzo liye behtha hon sun le
teri justoju mein rehta hon sun le

mujhay le chal apne sung piya
meri ankh main tere rung piya

tujhay cheen liya is dunia ne
meri is dunia se jung piya

tere naam ki maala japta hai
mera rom rom ang ang piya

ik bas itni c khwakhish hai
mujhay rung main apne rung piya

ab mujh ko main se tuu kr de
main apne aap se tung piya

chal chup kar baat na kar dhola
meri ghayel zaat na kar dhola

bethi hon dareechay main kab se
ab aaja loat k ghar dhola

bharti hon uraanain samt teri
mujhay lag gaye parem k par dhola

ab bain devaaren karti hain
mera kar gaye soona ghar dhola

ras ghol na mere kaanon main
kabhi mujh se baten kar dhola

kaheen tera lams na khoo jaye
mere dil se jaye na dar dhola

kabhi sun arzi mujh kamli ki
parri aan main tere dar dhola

tumhari rooh ka alam
tumhi jaano
zamanay bhar k rasm o raah ko
jee jaan se mano
mera koi dakhal kese
tera naimul badal kese
meri ankhon ki bujhti karbala
ae yaar pyasi hai
mera mehvar udaasi hai

dard bhi raas hone lagta hai
jab koi paas hone lagta hai

khud ko phir aam karna parta hai
jab koi khaas hone lagta hai

jis se main door hone lagta hon
wo mere paas hone lagta hai

aasmanon se bulaya bhi nahi jaa sakta
ab usay haal sunaya bhi nahi jaa sakta

wo manata jo nahi rothay huye logon ko
us se ab rooth k jaya bhi nahi jaa sakta

us ko taron main koi khaas nahi dil chaspi
chaand ko torr k laya bhi nahi jaa sakta

jis ki tabeer main hathon main liye phirta hon
ab usay khwaab main laya bhi nahi jaa sakta

us se hum tark e taaluq bhi nahi kar saktay
baat ko aor barhaya bhi nahi jaa sakta

tum ne takheer bohat ki hai sada dene main
mujh se ab loat k aya bhi nahi jaa sakta

Barish hoi to ghar k dariche se lag k
Chop Chap sogawar tujhe sochte rahe

Bat Jab Bhi Bigri Hai Lafzon Par Bigri Hai
Kash K Hum Be-Zabaan Hote...

Teri Ankhen Kamaal Hain Sahib
Mujh Ko Misl-E-Sharab Lagti Hain...
Powered by Blogger.