Lafz Sada Hai Magar Kitne Pyare Hain
Lafz sada hai magar kitne pyare hain
Tum hamare ho Hum tumhare hain
chup reh kar bhi yaar pukara jaa sakta hai
in ankhon main chaand utaara ja sakta hai
sari lehren tere sadqay de sakta hon
sara darya tujh per vaara ja sakta hai
phir tum se hi aik muhabbat ho sakti hai
phir se tum ko jeet k haara ja sakta hai
tujh ko taknay aor tujhay taktay rehnay se
ankhon se is baat nazara jaa sakta hai
us k aariz dekh k main ne aksar socha
mukh chandaa ka aor nikhaara ja sakta hai
ashkon main mojood musafir shayed tujh ko
ankhon k us paar utara ja sakta hai
tu bichra hai aor main itna hi samjha hon
ab tere bin waqat guzara jaa sakta hai
Nazar Teri Yun Utaar jayen
Ke khud Ko Sadqay Mai Waar jayen
So Ab Anaon Ko Dafan Karke
Kisi Ke Aage To Haar jayen
Jo Zindagani Ke Pal Bache Hain
Wo Hans Hansa Kar Guzaar jayen
Na Aise Rotho Khayal Karlo
Hamain Ye Lamhe Na Maar Jayen
Udas Hokar Bhi Kya Mila HaiChalo udasi Ke Paar jayen
Nazar Teri Yun Utaar jayen
Ke khud Ko Sadqay Mai Waar jayen
So Ab Anaon Ko Dafan Kar k
Kisi Ke Aage To Haar jayen
Jo Zindagani Ke Pal Bache Hain
Wo Hans Hansa Kar Guzaar jayen
Na Aise Rotho Khayal Karlo
Hamain Ye Lamhe Na Maar Jayen
Udas Hokar Bhi Kya Mila Hai
Chalo udasi Ke Paar jayen
muskurahat k baad ka rasta
mujh se phr teh na ho saka janan
tujh se pehle bhi main akela tha
main tere baad bhi akela hon
yeh mera bakht bhi nirala hai
is main thehri theen jis qadar khushiyan
pehen kr wo seyah libas sabhi
baal apne bakher bethi hain
ghar wo apna ujaar bethi hain
vasl ka aik pal bhi raas nahi
koi sukh bhi to aas paas nahi
koi meri tarah udaas nahi
is liye mujh se door rehne main
hai tere bakht ki bhalayi ab
ehteyaatan ye tum se kehta hon
apni khushuyan uhaar mat dena
bakht ka soag tum nhi karna
ab mere paas tum nahi aana
sheher walon ki koi baat na morri uss ne
meri har aas baray shoq se torri uss ne
ab to chup rehne se ho hi gayi us ko nafrat
meri aadat bhi mere saath hi chrri uss ne
dil pe kya kya na qayamat hui barpa mat pooch
bheegay balon se jo ik shaam nichori uss ne
phir pareshan kar diya gaya hon
kitna veeran kar diya gaya hon
yani main saans le nahi sakta
yaani be jaan kar diya gaya hon
mojazay mujh ko aam lagtay hain
itna heraan kar diya gaya hon
tu bhi mushkil se ho gya muhskil
main bhi asan kar diya gaya hon
is se pehle bhi dasht jesa tha
aor sunsaan kar diya gaya hon
zain pehle to main seyana tha
ab to nadaan kar diya gaya hon
Post a Comment