Howa to Kuch Bhi Nahi Us se Bichar Kar
Howa to kuch bhi nahi us se bichar kar
Bas jahan par dil tha wahan ab drad rehta hai
dil ki koi bhi baat bataya na kar mujhay
main ne kaha bhi tha k sataya na kar mujhay
darta hon meri lou se tera ghar na jal uthay
shab main diya jala k bulaya na kar mujhay
main khud bhi dekhta hu udaasi k khaal o khad
qissay udasiyon k sunaya na kar mujhay
phoolon ne musta'aar liya tha mera badan
phoolon ki nazuki se churaya na kar mujhay
khud aap apne shoq se bikhra hon dasht main
chun chun k meri khaak uthaya na kar mujhay
main khat nahi k aag mita de wajood e mann
tukron main chahay baant jalaya na kar mujhay
main geet to nahi hon mujhay bhool bhaal jaa
apne haseen labon pe sajaya na kar mujhay
ae dost mohtaram hon zara ehteyaat kar
main vaasal e karam hon zara ehteyaat kar
mere sabab se ishq ki vehshat hai chaar soo
main haasil e sitam hon zara ehteyaat kar
naqsh o nigaar e husn mere mat bigaar sun
main deen hon dharam hon zara ehteyaat kar
be chain din hon aor hon shaam e firaaq bhi
main aik chashm e num hon zara ehteyaat kar
ab baat baat per to uthaya na kar mujhay
main yaar ki qasam hon zara ehteyaat kr
be zaabta nahi k meri aabroo na ho
ba qayeda alam hon zara ehteyaat kar
pati hai yeh bas hayaat meri zaat se ajal
main moat ka janam hon zara ehteyaat kar
junoo ko mohtaram karnay lagay ho
so youn khud per sitam karnay lagay ho
abi to aik lehja kam hua hai
abi se aankh num karnay lagay ho
hamain mehsoos hota ja raha hai
bharosa bhi khatam karnay lagay ho
zamana naam leta hai tumhara
zamanay per karam karnay lagay ho
bata do jurm hum se kya hua hai
jo hum se baat kam karnay lagay h
udaasi zain roti ja rahi hai
yeh ab kesa sitam karnay lagay ho
hum sodayi ab tak jaan nahi paye
kis k seenay lag kar kitna rona tha
kis se kitni baat chupaya karni thi
kis ko kitni baat bataya karni thi
kis ki ankh main chup kar bethay rehna tha
kis k dil main shaam guzara karni thi
hum masoom tabiyat walay aawara
ab tak bilkul bhi yeh jaan nahi paye
bin poochay kis kis k khwaab ain jana tha
kis ko apna haal sunaya karna tha
kis ko ankhon paar utara karna tha
hum sodayi ab tak jaan nahi paye
meri zaban k sabhi harf tolnay walay
khamosh kiu hain mere dost bolnay walay
bata naa ab wo tera sath kiu nahi detay?
qadam qadam pe tere sath dolnay walay
na janay kon c nagri main ja basay akhir
wo yaar loag wo banhon ko kholne walay
khamosh reh k b baten hazaar kartay ho
hunar kahan se tujhay aye bolnay walay
tujhy hi dhoondti rehti hain be asar ankhen
nigah e shoq main taseer gholnay walay
Post a Comment