Hum Toyein Ge Itna Humein Maloom Nahin Tha
Bachpan mein jisay chand suna tha
Ho jaye ga Wo chehra na yeh socha tha
Waise to nazar aate hain sab apne hain lekin
Koi nahin hai apna humein maloom nahin tha
Hum royein ge itna humein maloom nahin tha
Beh jaye ga chehra hamein maloom nahin tha
Aasan they magar sada dil aise bhi nahin thay
Kha jayen gay dhoka reh jayin ge tanha
Kya shay hai ujarna humein maloom nahin tha
Hum royein ge itna humein maloom nahin tha
Beh jaye ga chahra humein maloom nahin tha
Aoron ke liye hum basatay rehe dunya
Kho jaye ga rasta par jaye ga marna
Ho jaye ga saaya humen maloom nahi tha
saieyan tera rog muhabbat
saieyan tera jog muhabbat
saieyan mere darya sookhay
saieyan lehjay pheekay rookhay
saieyan kr le mann ki baten
saieyan beet na jayen raaten
saieyan dekh main aik ikalli
saieyan teri kamli jhalli
saieyan khwaab piro deti hain
saieyan ankhen ro deti hain
saieyan apni basti le chal
saieyan meri masti le chal
saieyan apni kirpa kr de
saieyan nain kitoray bhar de
saieyan apni deed kara de
saieyan mujh ko eid kara de
saieyan tujh per vaari ho gayi
main saray ki saari ho gayi
saieyan aaj tumhari ho gayi
main bhi raaj kumari ho gayi
aansu dhaani ho jatay hain
aanchal paani ho jatay hain
teri chah main marne walay
loag kahani ho jatay hain
kuch aisay bhi chehray hain jo
yaad zabani ho jatay hain
khel wo khelen jis main hum tum
raja raani ho jatay hain
aawazen gum ho jati hain
harf nishaani ho jatay hain
zain chalo hum khamoshi se
baat purani ho jatay hain
kisi k ankh se niklay sitaray baant lene thay
kinaray batt nahi saktay saharay baant lene thay
muhabbat main kabi nuqsaan to hota nahi lekin
samjhna tha yehi to phr khasaray baant lene thay
jisay tum ne bhulaya hai wohi ik shakhs tha aisa
k jis ne muskura kr dukh tumharay baant lene thay
so ab nazron ka shikwa kiu yeh pehle soch lete naa
nigahain baant leni theen, isharay baant lene thay
kaha tha naa k mere bin kathin ho jaye ga jeena
so meri maan leni thi guzaray baant lene thay
jisay fursat nahi milti hamaray paas anay ki
kahan phr zain us ne gham hamaray baant lene thay
musalsal hi bhulaya jaa raha hon
main likh likh kr mitaya jaa raha hon
mujhay sunnay pe jo raazi nahi hai
usay phir bhi sunaya jaa raha hon
mujhay har torr hai mitti main milna
nigahon se bahaya jaa raha hon
muhabbat ne seyasat seekh li hai
saleeqay se sataya jaa raha hon
ajab hai hath uska thaamna bhi
utha kr phir giraya jaa raha hon
jahan per imtehaan banta nahi hai
waheen per aazmaya jaa raha hon
mujhay kya geet samjhi zain duniya
jo itna gungunaya jaa raha hon
Post a Comment