Jin Pe Hota Hai Bohat Dil Ko Bharosa Taabish - Urdu Hindi Love Poetry

Jin Pe Hota Hai Bohat Dil Ko Bharosa Taabish

Jin Pe Hota Hai Bohat Dil Ko Bharosa Taabish
Waqt Parny Pe Wohi Log Dagha Dete Hain...

Hum Ne Kab Ki Hai Tere Ishq Ki Shiddat Me Kami
Hijr Bhi Sub Se Bara Hum Ne Chuna Hai Tera...

Wo Nigahen Faqat Nigahen Nahi
Un Main Hayaat Hai Sahab...

Kabhi Khamosh betho Gay
Kabhi Kuch Gungunao Gay
Mai Utna Yaad Aaongi Mujhe Jitna Bhulao Gay
Koi Jab Poch Bethega Khamoshi Ka Sabab Tumse
Bohat Samjhana Chaho Gay Magar Samjha Na Pao gay
Kabhi Dunya Mukammal Ban Ke Ayegi Nigahon Mai
Kabhi Meri Kami Dunya Ki Har Shay Mai Pao Gay

Kahin Par Bhi Rahen Hum Aur Tum Muhabbat Phir Muhabbat Hai
Hum Utna Yaad Ayengay Hame Jitna Bhulao Gay
Kabhi Khamosh betho Gay
Kabhi Kuch Gungunao Gay

Torr Dalen Qalam To Behtar Hai
Na Likhen Raaz e Ghum To Behtar Hai
Yun Bhi hum Ko Na Choregi Dunya
Ap Karlen Sitam To Behtar Hai
Kufar hai Hum Unhe Chahen
Log Poje Sanam To Behtar Hai

Ishq Marta To Kam Hi Lekin
Ishq Maare Bhi Kam To Behtar Hai
Daad Milti Hai Wo Sune Na Sune
Aake Zair o Bam To Behtar Hai
Na Karo Tauba Dil Dukhane Se

Ab Na Tote Qasam To Behtar Hai
Dil Ka Qissa Wohi Qadeemi Hai
Na Suno Mohtram To Behtar Hai
Torr Dalen Qalam To Behtar Hai
Na Likhen Raaz e Ghum To Behtar Hai

Aaj Hum Tumko Chalo Saf Bata Dete Hain
Dil e Gustakh Ka Har Raaz Suna Dete Hain
Shiddat e Dard Ne Mujhe Kya Se Kya Bana Diya
Halat e Zar Tumko Bhi Suna Dete Hain
Khamosh Darya Ki Tarah Behti Rehti Hon
Bewaja Ghum Ke Tufaan Mujhe Saza Kyun Dete Hain
Ankhen Ashkon Se Barh Jayen To
Selaab Ashk Mai Sab Shikayat Baha Dete Hain
Ek Raaz Chupa Hai To Chupa Rehne Do
Unke Samne Hum Siskiyun Mai Bhi Muskura Dete Hain
Aaj Hum Tumko Chalo Saf Bata Dete Hain
Dil e Gustakh Ka Har Raaz Suna Dete Hain

aisay wese, wese, aisay kese hain
dekho na yeh log bhi kese kese hain

shab bhar gin gin taray haasil yeh nikla
tere saray vaday tere jese hain

ab main gaon se kam nikla karta hon
tum batlao sheher main saray kese hain

kya tum ne nazdeek se dekhi tanhai?
us k saray roop hi mere jese hain

ab bhi teri baten khud se kartay hain
jesa hum ko chorr gaye thay wese hain
Powered by Blogger.