Mohabbat Ab Nahi Hogi
Mohabbat Ab Nahi Hogi
Ye Kuch Din Baad Mein Ho Gi
Sitaray Jo Chamaktay Hain
Kisi Ki Chashm E Hairaan Mein
Mulaqaatain Jo Hoti Hain
Jamaal E Abr O Baaraan Mein
Ye Be abaad Lamhon Mein
Dil E Na shaad Mein Ho Gi
Ye Kuch Din Baad Mein Ho Gi
Guzar Jayen Gay Jab Ye Din
To In Ki Yaad Mein Ho Gi
Anaa Kehti Hai Ilteja Kya karni
Wo Mohabbat He Kya Jo Min'nato Se Mily...
Meri Kahani K Ikhtetam Se Zara Pehle
Aye Musannif Ik Bar Sahi Usey Mera Likhna...
Taroon Se Puch Lo Meri Rudad-E-Zindagi
Raton Ko Jagti Hun Tumhare Khayal Me...
Ishq Karna Hai To Phir Chak-E-Girebaan Kar Le
Hosh Walon Se Kaha Raqs-E-Junoo Hota Hai...
Is Shehar-E-Bakamal Me Ek Hum Ko Ch'hor Kar
Har Shakhs Be-Misaal Hai Har Shakhs La-Jawab...
Simat Gaya Mera Pyaar Chand Lafzon Main
Jab Usne Kaha Mohabbat To Hai Magr Tum Se Nahi...
Na Dabi Dabi Si Mohabbaten
Na Dhaki Chupi Ab Adawaten
Na Dikhawy Ki Ab Muskurahaten
Na Rog-E-Jaan, Ye Qabahaten
Main Thak Gaya Hun Jhoot Se
Mujhe Chahiye Ab Sach Yahan
Gar! Ranjishen To Ranjishen
Gar! Chahaten To Chahaten...!
Unka Kehna Hai K Phir Mar K Dikhaya Jaye
Abhi Kuch Log Tamashy Me Naye Aye Hain...
Raah Dekha Karega Sadiyon Tak
Chor Jaenge Ye Jahan Tanha...
Wo Jo Guzre The Tere Sath Kabhi
Wohi Lamhe Meri Hayat Hain...
Agar Hai Mout Me Kuch Lutf To Bus Itna Hai
K Us K Bad KHUDA Ka Suragh Paenge Hum...
Tere Sub Jhoot Motabar Thehre
Hua Such Bol Bol Main Ruswa..
Ranj-E-Firaq-E-Yar Main Ruswa Nahi Hua
Itna Main Chup Hua K Tamasha Nahi Hua.
Dard Seeny Me Dafan Karne Hain
Chaak Honton Ka Si Lia Jaye
Har Kisi Se Faraib Khaye Hain
Kis Se Kis Ka Gila Kiya Jaye...
Bewafa Tum The, Waqt Tha Ya Muqaddar Mera
Bat Itni Si Hai K Nateeja Judai Nikla...
Yahan K Log Apne Khawab Apne Dil Main Rakhte Hain
Tumhare Sheher Ki Ye Adaa Achi Lagi Hum Ko...
مجھے زندگی میں کیا ملا
اس کی مجھے کیا خبر
دل بہت ٹوٹا آنسو بہت بہائے
اس کی کسی کو کیا خبر
تھی میں سب کے درمیاں اکیلی
اس کی کسی کو کیا خبر
ہاتھ تھے میرے خالی
دل میں تھی بےقراری
رہی زندگی تو
پوچھوں گی ان لوگوں سے
زندگی تو دو دن کی ہے
آج میری تو
کل تیری باری ہے
Kam Itna Sa Mukammal Nahi Hone Pata
Wo Kabhi Aankh Se Ojhal Nahi Hone Pata...
Post a Comment