Aye Waqt K Luqman Hai Koi Elaaj Mera
Aye Waqt K Luqman Hai Koi Elaaj Mera
Mujh Ko Mere Khaloos Ne Kayi Bar Duss Lia...
jab kabhi beshumaar sochta hon
tere naqsh o nigaar sochta hon
is liye ashk tham nahi patay
main tumhain baar baar sochta hon
ankh se beh gayin sabhi sochain
itna zaar o qataar sochta hon
yaad karta hon pehle vaadon ko
phir tera aitabaar sochta hon
yeh tera kaaj hi nahi chup reh
ae dil e beqaraar, sochta hon!
waqeyi rayegan gya hon main
ho k tujh per nisaar sochta hon
khud pe to ikhteyaar tha hi nahi
tujh ko be ikhteyaar sochta hon
us ne pucha bata kahan jayen?
main ye bola k yaar, sochta hon
shaam darya nadi kinaray tum
muj ko lagtay ho kitne pyaray tum
aor ik hum k bas tumharay hi
aor ik tum k bas hamaray tum
kiu meri ankh sun nahi payi
kiu nahi ankh se pukaray tum
main tumhain bhool hi nahi paata
ho gaye yaad mujh ko saray tum
kon sa aasman tha bolo
youn kahan se gaye utaray tum
mujh k younhi haseen lagtay hain
chaandni shab udaas taray tum
hijr ka kon sa yeh aalam hai
bas muje de gaye khasaray tum
ab k rona bhi fun main shamil tha
is liye ro parray becharay tum
jab usay haal suna leta hon
apni ankhon ko jhuka leta hon
der tak tum ko suna karta hon
phir koi geet bana leta hon
wo bhi baton main chali ati hai
main bhi baton main laga leta hon
jab bhi aati hai kabhi khwabon main
main usay paas bitha leta hon
ankh lagne se zara sa pehle
uski tasveer utha leta hon
phir kahin jaa bhi nahi sakta naa
kab usay pas bula leta hon
wo mera sab ko bata deti hai
main usay phir bhi chupa leta hon
hijr main dard maza detay hain
gham ko aizaaz bana leta hon
Mujhe Khayal Tha Uska Usy Zamany Ka
Khuda Kary K Zamana Wafa Kary Us Se...
Talkhi Kiun Na Ho Humary Lehje Main
Hum Pe Jo Guzri Humain Yad Hai Sub...
Yaad Rakhna Humari Turbat Ko
Qarz Hai Tum Par Chaar Phoolon Ka...
Safar Main Kese Mohabbat Se Sath Rehte Hain
Sabaq Ye Mene Parindon Ki Daar Se Seekha...
Sar Pe Chadar Bhi Jo Hoti To Ura Deti Usy
Dil Se Chimta Hai Tera Ghum Kisi Deemak Ki Tarha...
Chalti Hi Ja Rahi Hai Ye Umar-E-Rawaan Ki Rail
Hum Ko Yahin Utarna Hai Zanjeer Kheenchiye...
Post a Comment