Saza Ban Jati Hai Guzre Waqat Ki Yadein - Urdu Hindi Love Poetry

Saza Ban Jati Hai Guzre Waqat Ki Yadein

Saza ban jati hai guzre waqat ki yadein
Na jane kyun matlab k liye mehrban hote hain log

hawa k lams dekha kar, gina na kar
meri tehreer k aansu chuna na kar

main teri ankh k tevar samajhta hon
faqat khamosh betha kar, kaha na kar

udasi k siva kya hai mere dil main
yeh ik bechain jungle hai, gila na kar

tera mil kar bichadna maar deta hai
mujhay tu khwaab main bhi ab mila na kar

mere jo dard hain younhi mehekne de
laga tu shoq se marham saha na kar

tujhay ab maatmi chehron se ulfat kiu?
tujhay main ne kaha bhi tha hansa na kar

teri awaz ghayel hi na ho jaye!
sadayen dasht main mujh ko diya na kar

meri awargi tujh ko na le doobay
tu mere sath betha kar chala na kar

baat suno youn chup mat betho
deevaron se lag kr rona
ankhen pathar ho janay se
kitna behtar hota hai na
kuch to bolo naa ab chanda
k main ankhen pathar hone
se pehle deevar se lag kr
dher sa teri yaad main ro lon
apne in khamosh labon ko
kholo naa aot yeh batla do
kya yeh chup chup deevaren bhi
aansu punchna jaan gayi hain
ab yeh dukh sukh banten gi na

kho gaye janay kahan loag puranay walay
tu ne dekhay hain kahan jaan se janay walay

phir kahani main wohi morr hai anay wala
maar detay hain mujhay loag zamanay walay

mere gaon main to bas aik yehi khaami hai
loat kr atay nahi sheher ko janay walay

us k lehjay main muqayyad hai balaa ki thandak
aor alfaaz sabhi dil ko jalanay walay

tu haqeeqat k tanazar main kabhi mil mujh se
khwaab hotay hain faqat neend main anay walay

raahazan ka to koi khoaf nahi tha hum ko
raasta bhool gaye raah batanay walay

hamaray baray main dunia usay batati rahay
wo aazmanay chali hai to aazmati rahay

ab us ka hijr meri jaan hi na le jaye
usay kaho k mere sheher aati jaati rahay

yakeen karo k mujhay ab yakeen nahi karna
hawa sunaati hai jo kuch mujhay sunati rahay

teri shabon main na utren azaab e hijr kabhi
magar dua hai tujhay chandni satati rahay

yeh intazaar hai kya bhanwli se pooch kabhi
jo apne ghar ko younhi der tak sajati rahay

libas sheher se laa kar zaroor pehno magar
khyaal rakhna kaheen saadgi na jati rahay

main bhool jaon agar zain apni zaat kabhi
kisi ki yaad mujhay aaina dikhaati rahay

yaar yeh jo uadiyan hain na
yeh koi be sabab nahi hoteen
in ki hoti hai aik zaat apni
in ki hoti hai aik baat apni
in k tevar kamal hotay hain
yeh kisi ko khafa nahi karteen

yeh kisi se khafa nahi hoteen
in ki adat hai be zarrar kitni
loag dunia k jo sataye hon
wo jo tanhaiyon k maray hon

hath yeh unka thaam leti hain
aor sb se bara hai wasf inka
yeh kabi be wafa nahi hoteen
hum hi murda zameer loag hain bas

sirf ilzaam detay rehtay hain
boltay hain bura udaasi ko
is se ankhen mila k dekho to
kitni masoom hai udaasi yeh

jan se pyaray jo loag hotay hain
jo k bichray huye hon muddat se
bas unhi k sabab udaasi ye
hum ko jitna udaas rakhti hai
un ko utna hi paas rakhti hai

yaar yeh jo udasiyan hain naa
in ko mehsoos kr k dekho naa
yeh koi be sabab nahi hoteen
Powered by Blogger.