Sun Yaara Sun Yaara Tere Ishq Da Chola Paya - Urdu Hindi Love Poetry

Sun Yaara Sun Yaara Tere Ishq Da Chola Paya

Noor Basa In Akhiyon Mein Tera
Kab Hui Teri Mein Rab Jane Mera
Rang Diya Tere Ishq Ne Yun
Ho Gai Mein Tu Hi Tu
Rang Tune Kesa Hai Charhaya
Sun Yaara Sun Yaara
Tere Ishq Da Chola Paya

Sun Yaara Sun Yaara
Tere Ishq Da Chola Paya

Aanchal Mein Bhar Kay Phool Yeh Saare
Khushboo Se Bhar Do Mousam Tumhare
Khush Ho Rahe Hain Sapne Tumhare
Bethe Raho Tum Dharkan Kinaare

Sun Yaara Sun Yaara
Tere Ishq Da Chola Paya

Dil Ki Teh Main Zakham Chupaye Hain
Qadmon Tale Sab Raste Ruke Hain
Khushiyon Ka Say Sir Se Uthay Hain
Sajdon Mein Aansu Saray Chhupaye Hain

Sun Yaara Sun Yaara
Tera Ishq Da Chola Paya

bas gayi phir dil ki basti khwaab main
dekh li jab aik hasti khwaab main

neend ki vaadi to jal thal ho gayi
ankh ab kitna barasti khwaab main

aik ko mailay se le aya tha main
aik guriya hai tarasti khwaab main

kitni mehngi par gayi ha jaag kr
thi yeh dunia kitni sasti khwaab main

ab bulandi per puhnch jaon ga main
dekh li hai main ne pasti khwaab main

waqt ki be dard nagan tuu kabhi
kash mujh ko sirf dasti khwaab main

ho gya main jaag kar kitna ghani
kis liye thi tung dasti khwaab main

jab bhi koi baat chupana parti hai
tab bhi sari baat sunana parti hai

tum bhi to bas shaam ka vada kartay ho
hum ko din main shaam sajana parti hai

badal chatt se roz hi rotha rehta hai
mujh ko khud barsaat churana parti hai

jab se wo shoqeen hua angaron ka
paani main bhi aag jalana parti hai

tanhai ko baat batata hu kuch aor
logon ko kuch aor batana parti hai

wo jo mujh ko yaad kabhi na ho payi
ab mujh ko wo baat bhulana parti hai

in gaalon ki pyaas bujhanay k khatir
ankhon se ik boond girana parti hai

pehle tujh ko khwaab main dekha krta hon
phir khud ko tabeer batana parti hai

janay kya dhadakta hai yaar mere seenay main
bhar gya hai kon itna pyaar mere seenay main

us ne cheen li akhir jeet meri aankhon se
reh gayi ha baqi ab haaar mere seenay main

iss qadar moassar hai ishq mera Mola se
khwakhishen jo deta hai maar mere saenay main

be panah muhabbat se main inhain bulata hon
phir bhi bas nahi paatay yaar mere seenay main

par kata takhayyal tha soch k parindon ka
iss liye hi aa bikhri daar mere seenay main

muhabbat rooth jati hai
yeh hai ik kaanch ki gudiya yeh gir kr toot jati hai

yeh ik lambi musafat se kabhi jab loat aye to
yeh ban kr aabla paon ka aksar phoot jati hai

tumhain main ne kaha bhi tha isay mat aazmana tum
k aisay aazmanay se muhabbat rooth jati hai
Powered by Blogger.