Lazzat e Qurb Rahi Shokh e Wisaal Rahi - Urdu Hindi Love Poetry

Lazzat e Qurb Rahi Shokh e Wisaal Rahi

Raha Na Hosh e khudi Na Giraft Lafzon Par
Khamoshi Guftugu Main Mehv e Wajad o Haal Rahi

Tumhari Chah Mein Diwaan Bhi Agar Likh Don
Samajhna Baat Phir Bhi Maine Khaal Khaal Kahi

Nahi hargiz Mujhe gawara Tera Sar Kham Ho Kabhi
Pas e junoon Har Ek Dushmano Ki Chaal Rahi

Tumhara Hukam Ho Or radd Karon Main Na Mumkin
Kabhi Bhi Aisi Nahi Hai Meri Majaal Rahi

teri nigah main kiyun abr aa theherta hai
ye kis k haath pe rung e hina theherta hai

main jis k vastay har ehtamaam karta hon
wo shakhs mujh se bari door ja theherta hai

yeh paidd jhuk k usay dekhtay hi rehtay hain
jab in ki chaon main wo dilruba theherta hai

yeh loag sheher k jhuk jhuk k muj se miltay hain
wo shakhs jab bhi mere paas aa theherta hai

aksar Aesa ho jata hai
aansu raah bhatak jatay hain
ankhen banjar ho jati hain
sapnay murda ho jatay hain
neendain matam kr leti hain
aksar aisa ho jata hai
bhooli bisri yaden aa kar
dil main dard jaga deti hain

rooh ko zakhm laga deti hain
bechaini k is aalam main
sari raat guzar jati hai
ankhen surkh raha karti hain
sar main dard raha karta hai
aksar aisa ho jata hai

zindagi ho gayi hai khafa in dino
koi rehne laga hai juda in dino

kaat khanay ko dorray hai yeh khamshi
koi deta nahi hai sada in dino

mustaqil ban gayi soch herat kada
kar raha hai wafa, bewafa in dino

dard saray muje raas anay lagain
de raha hai koi yeh dua in dino

dhoondne lag gya hon main khud ko kaheen
mujh ko milta nahi raasta in dino

aik jhonka teri yaad ka bhool kar
dene aya muje aasra in dino

aaj saray sheher ko khabar ho gayi
zain mera nahi wo raha in dino

sun pagal bechain si larki
yeh jo ankhen hoti hain na
aksar dhoka de jati hain
aksar dhoka khaa jati hain

jism to matti hota hai na
jism ko matti ho jana hai
to phr is ki chahat kesi

phr jismon ki haajat kesi
sun koyal ki meethi meethi
pyari boli jesi larki
meethay bol suna lena tum

rooh se rooh mila lena tum
vaar karay jb tanhayi to
mujh ko paas bula lena tum
mere ghar k angan main ik
tanha pairr pe anay walay

meethay phal k jesi larki
main us pairr k neechay betha
phr se tum ko soch raha hon
aaj mujhe tum yaad ayi ho
Powered by Blogger.