Rooh K Nazdeeq Aankh So Ojhal
Rooh K Nazdeeq Aankh So Ojhal
Dil K Rishte Bhi Ajeeb Hote Hain...
dekh le gi hawa tera lehja
kis qadar ha thaka tera lehja
main e is main tuje utaara ha
tu ne dekha nahi mera lehja
sari awaaz jal gayi lekin
bach gaya tha harra bhara lehja
us ka lehja kamaal lehja hai
khoobsurat ghazal saraa lehja
kitne khamosh thay wo tere lab
kitna manoos tha tera lehja
lene aya tha muj se jo baten
le gaya cheen kr mera lehja
zain wo soonp kr gaya mujh ko
is qadar zeher se bhara lehja
yaad k saray dareechay bheegtay hain
be basi kurlaa rahi hai
raaston per phelti jati udaasi bain krti aor
bari badoom c awaaz main kurla rahi hai
be basi khud be hissi k geet gati jaa rahi hai
khirkiyon per dhool barish k kayi qatron ko khud main phr samaye jam gayi hai
aor sheeshon per bana har aks deta hai sadayen
ghar ki be tarteebiyan sari tumhain wapis bulaye ja rahi hain
aor is per almiya yeh hai k mujh ko
chaye wo bhi aik hi cup
khud banana par rahi hai
deed muhabbat, toor muhabbat
husn, tajjali, noor muhabbat
haar yehi singhaar yehi hai
maang ka hai sindoor muhabbat
hum ne to har soo dekhi hai
paas muhabbat, door muhabbat
naaz usay har aik ada per
kitni hai maghroor muhabbat
kis ne rakha paas wafa ka
sirf hui mash'hoor muhabbat
beet chali hain kitni sadiyan
ab tak hai mehjoor muhabbat
vird, wazeefa, shaam savere
dafa muhabbbat, door muhabbat
zain bicharna kab mumkin tha
aan hui majboor muhabbat
Humne Samjha K Azmaish Hai
Waqt to Faisley Kiye Betha Tha...
Tum Ab Tak Munafiq Dilon Me Rahi Ho
Mere Dil Ki Aab-O-Hawa Mukhtalif Hai...
اس نے کہا تمہیں محبّت میں راحت ملے گی .
میں نے کہا محبّت تو اذیت ہے .
تم کونسی راحت کے منتظر هو .
یہ تو فقط نظر کا دھوکہ ہے .
ایک شفاف اور سفید دھوکہ .
جو ہم کرتے ہیں اعتبار کے نام پر .
تم کن خوشیوں کے طلب گار هو .
که یہاں تو دکھ اور آنسوؤں کے سوا کچھ بھی نہیں .
زندگی تو کسی کی بھی یہاں رکتی نہیں .
تم کہتے هو محبّت میں سکون ملے گا .
اے میرے ہمسفر!!
یہ بس تمہاری خوش فہمیاں ہیں .
تمہیں پتہ ہے که جب محبّت پر نفرت غالب آجاے تو .
یہ اپنی وقعت اور وجود کھو دیتی ہے .
یہ محض ایک سایے کی مانند رہ جاتی ہے .
جو دن چڑھتے ساتھ ھوتا ہے .
اور رات کے اندھیرے میں کوسوں دور .
سنو جاناں!!
میں پھر بھی تم سے محبّت کرتی ھوں .
کہ اپنے اس نرم و نازک وجود کو پاش ہوتے دیکھنا چاہتی ھوں .
میں خود کو تمہارے ہاتھوں سمٹتے دیکھنا چاہتی ہوں .
میں تم پر اعتبار کرنا چاہتی ھوں .
میں اب بھی تم سے محبّت کرنا چاہتی ھوں ...
Ab To Har Hath Ka Pathar Humain Janta Hai
Umar Guzari Hai Tere Sheher Me Aty Jaty...
Bus Jeeny K Layaq Na Chory Gi
Aur Kya Kar Le Gi Yaad Teri...
Mujh Ko Phir Chooriyon Ka Tohfa Do
Eid Phir Se Qareeb Aa Pohnchi...
Dard To Roz Ka Tamasha Hai
Aaj Lekin Shadeed Hai Sain...
Post a Comment