Ho Sakti Nahi Jiski Koi Baat Alehda
Ho sakti nahi jiski koi baat alehda
us shakhs se ab kese karen zaat alehda
tum hum se to hum tum se karen koi gila kiu?
pehle to hua kartay thay halaat alehda
har shakhs ko har baat batata hai wo lekin
karta hi nahi mujh se koi baat alehda
aa therti hai dil main udaasi ki koi rutt
ankhon main lagi rehti hai barsaat alehda
tum bhi to nhi krtay rahay hijr ka maatam
kya tum ne guzaari hai koi raat alehda
wo shakhs zamanay main kahi khoya hua hai
hai jis ki zamanay se har ik baat alehda
acha nahi lagta usay tanhayi main rehna
ab kese karen us se mulaqaat alehda
Tu tu hai wahi dil ne jise apna kaha
Tu hai jahan main hoon wahan
Ab toh yeh jeena tere binn hai saza
Mil jaaye iss tarah do lehre jiss tarah
Hoo mil jaaye iss tarah do lehre jiss tarah
Phir hona judaa haan yeh vaada raha
Main awaaz hoon tu, tu hai geet mera
Jahan se niraala man meet mera
Mil jaaye iss tarah do lehre jiss tarah
Hoo mil jaaye iss tarah do lehre jiss tarah
Phir hona judaa haan yeh waada raha
Kabhi khwaab mein bhi tu
Mujhse naa roothe
Mere pyaar ki koi
Khushiyaan na roothe
Mil jaaye iss tarah do lehre jiss tarah
Hoo mil jaaye iss tarah do lehre jiss tarah
Phir hona judaa yeh vaada raha
tere pehlu main shaam karta hon
raat ka ehtamaam karta hon
manta hon main hijr ko murshad
hijr ka ehtaram karta hon
ik tujay yaad phr teri baten
bas yehi aik kaam karta hon
morr k pankh hain kitabon main
husn ka ehtaram karta hon
yaar badlay huye hain so main bhi
door se hi salam karta hon
lafz honton pe aa nahi saktay
jab bhi tum se kalaam karta hon
hai muhabbat mujhe parindon se
zain main naik kaam karta hon
ik teri yaad ko bas rakht e safar jaana hai
hum ne pathar ko bahar torr gohar jana hai
jis tarah kat'ti gayi raat bhi khamoshi se
is tarah hum ne kisi shaam guzar jana hai
chaand ko hum ne batana hai tere baray main
aaj to hum ne barri derr se ghar jana hai
zain us ko to ujaara tha kayi sadiyon ne
aik lamhay main kahan us ne sanwar jana hai
aor phir mere siva kon sahay ga us ko
aor phr us k siva main ne kidhar jana hai
zain maala sa hamain us ne piroo rakha hai
hum ne chup chaap kisi roz bikhar jana hai
Post a Comment