Bikhri Hain Mere Ghar ain Wo Be Rung Chooriyan - Urdu Hindi Love Poetry

Bikhri Hain Mere Ghar ain Wo Be Rung Chooriyan

bikhri hain mere ghar main wo be rung chooriyan
karti hain mere sath sada jung chooriyan

barson se mere kaan main khann khann hai aj bhi
karti hain kitna shor wo be dhung chooriyan

sooni kalaiyan bhi nishaani hain soag ki
har soo khushi thi jab theen tere sung chooriyan

tu ne kisi k naam k kangan pehen liye
karti rahen gi tujh ko sada tung chooriyan

jatay huye wo maiz pe kyun zain dhar gaya
yeh sochti hain ab bhi mere sung chooriyan

pyaar jatanay aa jana tha
aaj satanay aa jana tha

bhool chukay ho youn lagta hai
yaad dilanay aa jana tha

shoq se bichro lekin pehle
hath chudanay aa jana tha

aaj meri tum ne mujh se hi
zaat churanay aa jana tha

rooth chuka hon tum se kal ka
aaj mananay aa jana tha

aaj bhi tum ne hanstay hanstay
neer bahanay aa jana tha

zain gali main aakhir tum ne
khaak udanay aa jana tha

Tum To Khud Ansuon Me Bastey Ho
Tumhein Q Barishen Rulati Hain...

Mohabbaton Ki Saza Be-Misal Di Usne
Udas Rehne Ki Adat He Dal Di Usne...

Barbad Kiye Jati Hain Har Qalb-O-Jigar Ko
Kis Darja Hain Duniya Me Fasadi Teri Ankhen...

Usne Kaha K Konsa Tohfa Hai Man'Pasand
Maine Kaha Wo Sham Jo Ab Tak Udhar Hai...

Us K Hath Mein Jeethy Hain Khushi Se
Itna He Bohat Hai Wo Marne Nahi Deta...!!

Hadd Se Barh Kar Haseen Lagte Ho
Jhuti Qasmein Zaroor Khaya Kro...

Garr Ap K Meyar Pe Utrey Nahi Pura
Goya Hum Se Bura Nahi koi Zamane Mein...

Mujh Se Ab Or Tamasha Ho Nahi Sakta
Le Ja Ye Dikhawy Ki Hansi Bhi A Kar...

guzar chuka hon kisi lamakan se pehle hi
yakeen kar liya main ne gumaan se pehle hi

muje zameen pe rehne ka shoq hi kab tha
gira hua hon kisi aasman se pehle hi

yeh ap apne karam apne paas hi rakhye
main mil chuka hon kisi mehruban se pehle hi

mureed e ishq hon dkhlao mat dar e dunia
main munsalik hon kisi aastan se pehle hi

so ab wo mujh ko younhi kharch karta rehta hai
bacha k rakha tha jis ne zeyan se pehle hi

yeh kis liye hai jigar zakhm zakhm kuch to kaho
ye teer kis ne chalaya gumaan se pehle hi

usi ne der laga di thi zain anay main
main agya tha kooye dilbaran se pehle hi

ab kese batayen tumhain kesa nahi socha
per hum ne tumhain doosron jesa nahi socha

logon ne bana rakhi hain baten tere baray
hum ne to tere baray main wesa nahi socha

tu ne bhi hamain chahnay jesa nahi chaha
hum ne bhi tujhay sochne jesa nahi socha

tu paas nahi, aor tujhay paas na paa kar
tu hum se juda hai kabhi aisa nahi socha

tu ne bhi mujhay soch k kaatay thay kayi din
kya tu ne mujay ab kabi wesa nahi socha

tujh ko bhi main badla hua lagta hon meri jan
main ne bhi tujhay wese ka wesa nahi socha

izhaar e muhabbat pe mujhay us ne kaha tha
aisay nahi dekha tujhay aisa nahi socha
Powered by Blogger.