Agar Ye Sach Hai Ke Har Larki Paise Pe Nahi Marti
Agar Ye Sach Hai Ke Har Larki Paise Pe Nahi Marti .To Ye Bhi Sach Hai Ke Har Larka Jisam Pay Nahi Marta .ye to logon ne yunhi baat banayi hui hai . kon kehta hai teri muj se judayi hui hai
main to ankhon ko bhi parhne ka hunar janta hon
tu ne ik baat kahin muj se chupayi hui hai
loag atay hain mere ghar ki ziyarat k liye
main ne tasveer teri ghar main lagayi hui hai
yeh jo gham hai naa tere hijr ka bikhra hua gham
main ne is gham se paray kutya basayi hui hai
ab jo har baat hawaon ne batayi hai tuje
main ne har baat hawaon ko sunayi hui hai
main akela to nahi tera tassawur hai yahan
aor kamray main udaasi bhi bulayi hui hai
hum kahan biktay thay in waqt k shahon ko kabhi
teri hasrat hamain bazaar main layi hui hai
Agar Ye Sach Hai Ke Har Larki Paise Pe Nahi Marti
To Ye Bhi Sach Hai Ke Har Larka Jisam Pay Nahi Marta
ye to logon ne yunhi baat banayi hui hai
kon kehta hai teri muj se judayi hui hai
main to ankhon ko bhi parhne ka hunar janta hon
tu ne ik baat kahin muj se chupayi hui hai
loag atay hain mere ghar ki ziyarat k liye
main ne tasveer teri ghar main lagayi hui hai
yeh jo gham hai naa tere hijr ka bikhra hua gham
main ne is gham se paray kutya basayi hui hai
ab jo har baat hawaon ne batayi hai tuje
main ne har baat hawaon ko sunayi hui hai
main akela to nahi tera tassawur hai yahan
aor kamray main udaasi bhi bulayi hui hai
hum kahan biktay thay in waqt k shahon ko kabhi
teri hasrat hamain bazaar main layi hui hai
kisi firaaq main rakhay huye vasaal k din
hain muddaton se kahin la pata kamaal k din
jisay urooj pe ja kar mushaq'qaton se mila
wo shakhs muj se kahin kho gya zavaal k din
yehi dua hai rahain sabz hi tere mosam
khuda kabhi na dikhaye tujhay malal k din
ye umr bhar ki reyazat bhi kaam aa na saki
jawab de na saka main kisi sawaal k din
tassawuraat ki raton main soag barpaa hai
kaheen pe qatl huye hain mere khyaal k din
yeh janta hon k mumkin nahi wo loat sakay
guzaarta hon magar zain ehtamaal k din
mera jeevan udaas kr gaye naa
wakf e khoaf o hiraas kr gaye naa
main ne dukh khud se door rakhay thay
tum inhain aas paas kr gaye naa
le gaye hasraton ka pehnawa
khwakhishen be libaas kr gaye naa
sukh udaasi k geet gatay hain
dard se ro shanaas kr gaye naa
zain apni bujhi c baton se
sari basti udaas kr gaye naa
hamaray paas ao muskurao
hamain dukhray sunao muskurao
tumharay dil main basna chahtay hain
hamara ghar basao muskurao
meri ankhen tarasti hain khudara
kabhi nazren milao muskurao
koi qissa purana sa samjh lo
hamain tum bhool jao muskurao
hamari bhi to ankhen muskurayen
kabhi tum lab hilao muskurao
udaasi jaan ko dasti rahay gi
chalo sab bhool jao muskurao
udasiyon ka ujaar mosam kabi sataye to mujh se kehna
na in andheron main hath tum se koi milaye to mujh se kehna
mujhay yakeen hai k mujh se barh kr tumhain kisi ne nahi hai chaha
meri tarah se koi tumhain jab galay lagaye to mujh se kehna
yeh ban sanwar kr jo tum ne mathay pe aik jhoomar saja liya hai
magar sajaya tha jesa main ne koi sajaye to mujh se kehna
muhabbaton main azaab lagta hai hijr lekin nahi hai aisa
magar nazar se firaaq teri nazar milaye to mujh se kehna
na har kisi per yakeen karna bagher sochay bagher samjhay
tumhain koi bhi jo mere baray main kuch bataye to mujh se kehna
meri teri yadon ki akhri hadd main naqsh aisay hua hon jaanan
khyaal mera tumhain jo ik pal bhi bhool jaye to mujh se kehna
bohot kaha tha yakeen rakhna k zain tum se juda nahi hai
agar zara sa bhi meri baton main farq aye to mujh se kehna
Post a Comment