Main Tumhein Bhool Bhi to Sakti Thi - Urdu Hindi Love Poetry

Main Tumhein Bhool Bhi to Sakti Thi

Main tumhein bhool bhi to sakti thi
Haan magar ye nahi howa mujh se

Har aik ke naseeb mai kahan likhi hain chahatain
Kuch log ate hain dunya mai faqat tanhaiyun keliye

Mujhe to is khabar ne hila ke rakh diya
Ke mai kahin zinda dekha gaya hon

Sari raat unki goad mai hamare anso girte rahe
Subha howi to wo bole raat barish kamaal ki thi

Zulf ne bal koi khaya to bura maan gaye
Chand badli mai jo aya to bura maan gaye

Aur to sab ko pilate rahe mast ankhon se
Hath saagar ne jo barhaya to bura maan gaye

Bethe bithaye yun kabhi aya tera khayal
Hum laakh ghumzada thai magar muskura diye

Mareez e muhabbat ko faqat deedar kafi hai
Hazaron tib ke nuskhon se nigah e yaar kafi hai

Khud ko manwane ka mujh ko bhi hunar ata hai
Mai wo qatra hon samundar mere ghar ata hai

Teri baaton ko chupana nahi aata mujh se
Tune khushbo mere lehje mai basa rakhi hai
Abhi Kuch Din Mujhe Meri
Mohabbat Aazmane Do

Mujhe Khamosh Rehne Do
Suna Hai Ishq Saccha Ho To
Khamoshi Lahu Ban Kar
Ragon Main Naach Uthti Hai
Zara Us Ki Ragon Main
Khamoshi Ko Jhoom Jane Do
Abhi Kuch Din Mujhe Meri
Mohabbat Aazmane Do

Usay Main Kyun Bataon
Main Ne Us Ko Kitna Chaha Hai
Bataya Jhoot Jata Hai

Ke Sacchi Baat Ki Khushboo
To Khud Mehsoos Hoti Hai
Meri Baaten, Meri Sochen

Usay Khud Jaan Jane Do
Abhi Kuch Din Mujhe Meri
Mohabbat Aazmane Do

رخصت ہوا تو آنکھ ملا کر نہیں گیا
وہ کیوں گیا ہے یہ بھی بتا کر نہیں گیا

وہ یوں گیا کہ بادِ صبا یاد آگئی
احساس تک بھی ہم کو دلا کر نہیں گیا

یوں لگ رہا ہے جیسے ابھی لوٹ آئے گا
جاتے ہوئے چراغ بجھا کر نہیں گیا

بس اک لکیر کھینچ گیا درمیان میں
دیوار راستے میں بنا کر نہیں گیا

شاید وہ مل ہی جائے مگر جستجو ہے شرط
وہ اپنے نقشِ پا تو مٹا کر نہیں گیا

گھر میں ہے آج تک وہی خوشبو بسی ہوئی
لگتا ہے یوں کہ جیسے وہ آکر نہیں گیا

تب تک تو پھول جیسی ہی تازہ تھی اس کی یاد
جب تک وہ پتیوں کو جدا کر نہیں گیا

رہنے دیا نہ اس نے کسی کام کا مجھے
اور خاک میں بھی مجھ کو ملا کر نہیں گیا

ویسی ہی بے طلب ہے ابھی میری زندگی
وہ خار وخس میں آگ لگا کر نہیں گیا

شہزاد یہ گلہ ہی رہا اس کی ذات سے
جاتے ہوئے وہ کوئی گلہ کر نہیں گیا

Powered by Blogger.