Wo Meri Akhri Sarhad Ho Jaise
Wo Meri Akhri Sarhad Ho Jaise
Soch Jati He Nahi Us Se Agey...
Jinka irada ho sath nibhane ka mirza
Wo janaze ke peche janaza laga dete hain
Khamosh lab hain jhuki hain palken
Dilon mai ulfat nayi nayi hai
Abhi takaluf hai guftugu mai
Abhi muhabbat nayi nayi hai
Abhi na ayegi neend tum ko
Abhi na hum ko sukoon milega
Abhi to dharke ga dil zyada
Abhi ye chahat nayi nayi hai
Bahaar ka aaj pehla din hai
Chalo chaman mai tehel ke ayen
Fiza mai khushbo nayi nayi hai
Gulon mai rangat nayi nayi hai
Jo khandani raees hain wo
Mizaaj rakhte hain narm apna
Tumhara lehja bata raha hai
Tumhari dolat nayi nayi hai
Zara sa qudrat ne kya nawaza
Ke aake bethe ho pehli saff mai
Abhi se urhne lage hawa mai
Abhi to shohrat nayi nayi hai
تیرے احساس کی خوشبو سے معطر ہے سارا وجود میرا
میری رگ رگ میں محبت تیری میری ہر سانس پہ حق تیرا
Mere shaha tere aisaab pe tari mai thi
Wo bhi din thai ke teri raj kumari mai thi
Dard kab tha wo tere dil mai junoon tha mera
Ashk kab thai wo teri ankh se jari mai thi
Ye bhi sach hai ke mujhe maar diya hai tune
Ye bhi sach hai ke tujhe jaan se pyari mai thi
Sari dunya ko pata hai ke nahi tum mere
Sari dunya ko pata hai ke tumhari mai thi
Mujh ko dunya ne dil bantna chaha lekin
Jis taraf dil tha udhar sari ki sari mai thi
Bujhe bujhe se ajeeb din hain
Khawab hai na khayal koi
Na manzaron mai koi kashish hai
Na mosmon mai jamaal koi
Hum ik dojay ko apni apni
Adhori ankhon se dekhte hain
Hamari barson ki chahaton mai
Shayad ab utar raha hai jamaal koi
Jo hansna chahen to ashk niklen
Jo rona chahen to hanste jayen
Hamare jazbaat girvi rakh kar
Bana raha hai misaal koi
Kon kehta hai kathan hai aadmi ko maarna
Lehja badal tevar badal nazren badal aur maar de
Tere utarey huwe din pehan key main tere bina
Teri mehak main _____hijar ka waqt guzarti hon
tum sey mumkin ho to rok lo werna
Dil jo mera dharkey ga yaad tumari aygi
Tera skoon slamat rahe jana magar
kabhi to poch tujhe skoon kaise milta hai
Mehak raha hon abi tak tumari batoon ki khushbo se
Tumare baad ki khushbo mujh ko ,udaas kerti hai
Post a Comment