Kash Koi To Ikhtyar Mere Pas Hota - Urdu Hindi Love Poetry

Kash Koi To Ikhtyar Mere Pas Hota

Kash Koi To Ikhtyar Mere Pas Hota
Usay Paney Ka Ya Chupkey Se Mar Jane Ka

Wo khush kalam hai aisa ke uske pas hame
Taveel rehna bhi lagta hai mukhtasir rehna

وہ خوش کلام ہے ایسا کہ اُسکے پاس ہمیں
طویل رہنا بھی لگتا ہے مختصر رہنا.........

Milne ki arzo na bicharne ka kuch malal
Hum ko us admi se muhabbat ajeeb thi

ملنے کی آرزو، نہ بچھڑنے کا کچھ ملال
ھم کو اُس آدمی سے محبت عجیب تھی....

Lafz kar kya sakte hain
Qayal mayal ghayal or bas

Muqaam e herat ki baat hai naa
Ke ik larka bhari jawani mai udas rehta hai

*مقامِ حیرت کی بات هے ناں ؟؟؟*
*کہ اِک لڑکا بھری جوانی میں اُداس رہتا هے*

Bikhar jata hai paspa hokar jab lashkar iradon ka
Nayi qowat se phir apni safay tarteeb deta hon

Wo dard wo wafa wo muhabbat tamam shud
Le dil mai tere qarb ki hasrat tamam shud

Ye baad mai khulega ke kis kis ka khon howa
Har ik beyan khatam adalat tamam shud

Tu ab to dushmani ke bhi qabil nahi raha
Uthti thi jo kabhi wo adawat tamam shud

Ab rabt ik naya mujhe awargi se hai
Pabandi e khayal ki adat tamam shud

Jayez thi ya nahi tere haq thi magar
Karta tha jo kabhi wo wakalat tamam shud

Wo roz roz marne ka qissa howa tamam
Wo roz dil ki cheerti wehshat tamam shud

Mohsin mai kunj o zeest mai chup hon para howa
Majno si wo khaslat o halat tamam shud

Zanjeeron se baandh kar hamain
Lafzon se maara gaya

Ya to hame mukamal chalakiyan sikhayi jayen
Nahi to masomon ki alag bastiyan basayi jayen

Aa dekh tere pyar mai kha kha kar thokren
Itna sanbhal gaya hon ke zamana sanbhal lon

آ دیکھ تیرے پیار میں کھا کھا کے ٹھوکریں
اتنا سنبھل گیا ہوں کہ زمانہ سنبھال لوں

Ankhon se meri meherbaan fursat mai kisi roz
Gupshup laga kar dekhiyr dischasp hain hum log

‏آنکھوں سے میری مہرباں ، فرصت میں کسی روز,
‏گپ شپ لگا کے دیکھیئے ، دلچسپ ہیں ہم لوگ..!!

Mujh pe aisa mosam guzra keh !!
Khud ko jharte dekha main ne !!

Woh apni marzi sey ham sey baat kerte hain !!
Aur ham un ki marzi ka intzaar kerte hain !!

وو اپنی مرضی سے ہم سے بات کرتے ہیں
اور ہم ان کی مرضی کا انتظار کرتے ہیں

Powered by Blogger.