Jhalki nahi aik muddat se jalti hoyi aankhein
Jhalki nahi aik muddat se jalti hoyi aankhein
Kuch deir Rolao Mujhe kuch deir Satao
Ye saal bhi guzra hai tere pyar ki manind
Aate howe kuch or tha jate howe kuch or hai
Muhabbay mai mar mitne ki baten faqat rasmi hoti hain
Warna kon marta hai muhabbat mai sabhi jeete hain
Rishta jataya nahi jaata
Nibhaya jata hai chahe door ho
Wo bhi kya din thai bhula kar tujhko hum tujhe yaad kiya karte thai
Jab tere dard mai dil dukhta tha hum tere haq mai dua karte thai
Ana ke morr pe bichre to humsafar na mile
Hum aik shehar mai reh kar bhi umer bhar na mile
Kuch hum mai aage barhne ka bhi hosla na tha
Kuch usne bazouon ko kushada nahi kiya
Meri khamoshi e musalsal ko
Ik musalsal gila samajh lijiye
Zarori nahi ke kuch torne keliye pathar hi uthao
Bass lehjay badal kar bolne se bhi dil toot jaya karte hain
Dunya ko agar pata chal jaye ke mai tumhe kitna chahta hon
Aadhe rashk se mar jayen aadhe hasad se mar jayen
Khawab dekhe hain is qadar maine
Ab to ankhen bhi tanz karti hain
ﺧﻮﺍﺏ ﺩﯾﮑﮭﮯ ﮨــــــــــﯿﮟ ﺍﺱ ﻗﺪﺭ ﻣــــــــﯿﮟ ﻧﮯ۔۔۔
ﺍﺏ ﺗﻮ ﺁﻧﮑﮭﯿــــــــــﮞ ﺑﮭﯽ ﻃﻨﺰ ﮐﺮﺗﯽ ﮨــــــــــﯿﮟ۔۔۔
Usay bhula don magar hosla kahan mujh mai
Wo mere khoon ki tarah hai rawan rawan mujh mai
اسے بھلا دوں، مگر حوصلہ کہان مجھ میں
وہ میرے خوںکی طرح ہے رواں دواں مجھ میں
Ajeeb log baste hain tere shehar mai
Maramat kaanch ki karte hain pathar ke auzaron se
عجیب لوگ بستے ہیں........ تیرے شہر میں محسن
مرمت کانچ کی کرتے ہیں ،پتھر کے اوزاروں سے
Na poch mera rung mai kitni mouj mai hon
Dunya mai muhabbatein phela ke ik muhabbat ki khoj mai hon
نہ پوچھ میرا رنگ،________ میں کتنی موج میں ھوں
دنیا میں محبتیں پھیلا کے اک محبت کی کھوج میں ہوں
Muhabbat na sahi muqadma hi kardo mujh par
Tareekh dar tareekh tera deedar to hoga
محبت نہ سہی مقدمہ ہی کر دو مجھ پر
تاریخ در تاریخ تیرا دیدار تو ہو گا
Muhabbat ko lehad mai utaar dete hain
Duayen de ke bhi kuch log maar dete hain
محبتوں کو لحد میں اُتار دیتے ہیں
دعائیں دے کے بھی کچھ لوگ مار دیتے ہیں!
Ye to adha bhi nahi jis pe tarap uthe ho
Tunay dekha hi nahi hijar mukammal jaana
یہ تو آدھا بھی نہیں جس پہ تڑپ اٹھے ہو
تونے دیکھا ہی نہیں ہجر مکمل جاناں،،!!!
Post a Comment