Dil Ka Aalam Ek Darya Jaisa Hai - Urdu Hindi Love Poetry

Dil Ka Aalam Ek Darya Jaisa Hai

Dil Ka Aalam Ek Darya Jaisa Hai
Do Kinaron Me Dard Behta Hai...

guraiz shab say, seher say kalaam rakhtay thay
kabhi wo din thay k zulfon main shaam rakhtay thay

tumhaaray haath lagay hain to jo karo so karo
wagarna tum say to ham so ghulaam rakhtay thay

hamain bhi ghair liya ghar k zo’am nay to khulaa
kuch or log bhi is main qayaam rakhtay thay

yeh or baat hamain dosti na raas aai
hawaa thi sath to khushbu maqaam rakhtay thay

na-jaanay kon si rutt main bichar gaye woh log
jo apny dil main boht ehtaraam rakhtay thay

wo aa to jata kabhi, ham to is k raston par
diyay jalaaye huway subh-o-shaam rakhtay thay…

mohabbat khubsurat hai
mohabbat main agarchay dil ki aankhen
mudaton palken jhapakna bhool jaati hain
magar in ratjagon k surkh doray
neel-gun sanwlahaten or abruon ki raaz daari b
ajab ek husn paida krti jati hai
mohabbat main agarchay dharkanen apna chalan tak chor jati hain
magar sangeet aisi dharkanon ki thaap or sargam ko tarasta hai
mohabbat main agarchay by-khyaali dil ko boht tarpayey takhti hai

magar dil ki tarap he zindagi ko pathron ki zindagi sy mukhtalif krti hai
dunya main agarchay aankh sy ojhal huwi lgti hai dunya ek mohabbat k siwaa
laykin baseerat ki kaiii benaeyan or khirkiaan khulti chali jaati hain
baatin main mohabbat main agarchay aansuon ko surkh hotay pal nahi lgta

magar ye surkhiyaan kitnay gulistaan, chaand, taaray or zameen-o-aasmaan rangeen krti hai
mohabbat main judai dhoop k aangan main palti hai
agarchay phir b saari umer khwabon or duaon sy kabi thandak nahi jaati
mujay maaloom hai tum to mohabbat k mukhtalif ho magar jaanaan!!!

daleelen to daleelain hain mohabbat in daleelon ki kahaan mohtaaj hoti hai
MOHABBAT KHOOBSOORAT HAI…

اپنے آنسو رول رہا تھا
وہ آنکھوں سے بول رہا تھا
تیرے بعد مرے کمرے میں
ماتم کا ماحول رہا تھا

ہم ہی چلنے سے عاری تھے
وہ تو رستے کھول رہا تھا
جان! تمہاری نگری اندر
میں کتنا بے مول رہا تھا

وہ بھی کیسے اپنی چُپ سے
میری چُپ کو تول رہا تھا
تم کتنے انمول ہوئے ہو
میں کتنا انمول رہا تھا

رات ، مری بے چین آنکھوں میں
چاند اداسی گھول رہا تھا
یاد ہے؟ تیری خاطر میرے
ہاتھوں میں کشکول رہا تھا

اڑ جائیں گے تصویر کے رنگوں کی طرح ہیں
ھم وقت کی ٹہنی پہ پرندوں کی طرح ہیں

تم شاخ پہ کھلتے ہوئے پھولوں کی طرح ہو
ہم ریت پہ لکھے ہوئے حرفوں کی طرح ہیں

اک عمر ترستے ہیں کسی ایک خوشی کو
ہم لوگ بھی بنجر سی زمینوں کی طرح ہیں

دنیا کے لیےٴ کچھ بھی سہی تیرے لیےٴ ہم
مخلص صدا ماوٴں کی دعاوٴں کی طرح ہیں

تاریخ کی نظروں میں ھم اک عمر سے محسن
اسکول سے بھاگے ہوئے بچے کیطرح ہیں
Powered by Blogger.