Koi Dass Bahana Way Sajna - Urdu Hindi Love Poetry

Koi Dass Bahana Way Sajna

Koi Dass bahana Way Sajna
Teri Deed Hovay Naal Eid hovay

چلو خوابوں میں ملتے ہیں
کہ نیندیں بانٹ لیتے ہیں
زمانے کی نظر سے دور جا کر گھوم آتے ہیں

نئی دنیا بساتے ہیں
جہاں نہ کوئی روکنے والا
نہ ٹوکنے والا ہو

نہ کوئی خوف دنیا کا
نہ کوئی ڈر زمانے کا
جہاں بارش محبت کی

ہمیں مدہوش کر جائے
تمھارے سامنے میں ہوں
ہمارے سامنے تم ہو

چلو اس زندگانی میں
امر کرلیں اپنی کہانی کو
تو پھر خوابوں ملتے ہیں
محبت اوڑھ لیتے ہیں...!

Ab to keh do naa, Main aj bohat udaas hun
Koi nahin, Jis se dil ki verani bant sakun
Koi nahin, Jo mere behte howe ansoun ko rok sake

Koi nahin, Jo ik zara harf tasali de

Koi nahin, Jo muskura k kahe
“Apni hasaas ankhun ko taklef na de

Yeh mooti mere dil pe girtey hain” Koi nahin,
Ager hai, To bolta kyun nahin hai!!..

tum nay murjhaaye huway phool dekhay hain kabhi?
dil ki qabro’n pay paray
hijr ki laash ki aankho’n pay dharay
tum nay uktaaye huway khwaab dekhay hain kabhi?
dard ki palko’n say liptay huway, ghabraaye huway

tum nay bay-chain duwayen kabhi dekhi hain
mohabbat k kinaaro’n pay bhatakti phirti
aadib! tum nay dekha hai mujhay?
kyaa.. kabhi dekha hai mujhay?

Tum Lout Ana,
Koi guzra howa lamha
koi beiti hoi saat
Tumharay dil k band darichay main chali ay
Tumhain aisa lage

key mudat bad
tumhain, Dhemi si, Methi si,
Kasak mehsos hoti hai

Tumhai kuch yaad ata hai
Tu, meray bholay howe sathi
Mere naa meharbaan

Paalat Ana, Paalat Ana
K meri samatain ab bhi
Tumhari ahaton ki muntazir hain..

Mosam ko teri deed kay qabil me bana dun,
Jorey me koi phool tar o taza saja dun,
Jo mast pawan pi kay nagarya ko chali,

Ik lehza agar thehrey to phir us ko sada dun,
Khud ko bhi lutaon to bohat kami hai meri jan,
Ik umar ka hasil ho tujhey kesi wafa dun,

Ik pal bhi sulgatey hoye dekhon na tujhey main,
Jab dhoop parey tujhpey to zulfon ki ghata dun,
Khushbo sey gila ho na kisi rang e chaman ko,
Phoolon ko mehkaney ki agar koi ada dun.

Tumhare sheher ka mausam barra suhaana lage,
Main ik shaam chura loon agar bura na lage,
Tumhare bas main agar ho to bhool jao humen,
Tumhen bhulaane main shayed mujhe zamaana lage,

Hamare pyar se jalne lagi hai ik duniya,
Dua karo kisi dushman ki baduaa na lage,
Na jane kya hai us ki be-baak ankhon main,
Woh mu chupaa ke jaye bhi to bewafa na lage,
Jo doobna hai to itne sakoon se doobo,

Ke aas paas ki lehron ko bhi pata na lage,
Ho jis ada se mere sath bewafayi kar,
Ke tere baad mujhe koi bewafa na lage,
Woh phool jo mere daaman se ho geya mansoob,

Khuda kare usay bazaar ki hawa na lage,
Tum aankh muund ke pe jao zindagi qaiser,
Ke aik ghoont main shaayed yeh bd-maza na lage..
Powered by Blogger.