Top 40+ Ahmad Faraz urdu Poetry Collection | Urdu Shayari | Barish Poetry - Urdu Hindi Love Poetry

Top 40+ Ahmad Faraz urdu Poetry Collection | Urdu Shayari | Barish Poetry

Top 40 Plus Beautiful Collection of Most Popular Urdu Poet Adeeb Sir Ahmad Faraz Urdu Poetry Collection | Urdu Shayari | Barish Poetry, Ahmad Faraz poetry in urdu 2 lines, love poetry, romantic poetry, Rekhta shayari and much urdu poetry content you can read in this post. 

Ahmad Faraz Urdu Poetry urdu 2 lines

DhunD ujde hue logon mein wafa ke moti
Ye khazane tujhe mumkin hai kharabon mein milen

<<====================>>

Dil bhi pagal hai ki us shakhs se vabasta hai
Jo kisi aur ka hone de na apna rakkhe
<<====================>>
Teri baten hi sunane aaye
Teri baten hi sunane aaye
Dost bhi dil hi dukhane aaye


<<====================>>

Tu mohabbat se koi chaal to chal
Haar jaane ka hausla hai mujhe

<<====================>>

Suna hai us ke badan ki tarash aisi hai
Ki phuul apni qabatien katar ke dekhte hain

<<====================>>
Ab tak dil-e-khush-fahm ko tujh se hain umiden
Ye akhiri shamien bhi bujhane ke liye aa

<<====================>>

Chala tha zikr zamane ki bewafai ka
So aa gaya hai tumhara khayal vaise hi

<<====================>>
Kuch is tarah se guzari hai zindagi jaise
Tamam umr kisi dusre ke ghar mein raha

<<====================>>
Ab dil ki tamanna hai to ai kaash yahi ho
Aansu ki jagah aankh se hasrat nikal aaye

<<====================>>

Na shab o roz hi badle hain na haal achchha hai
Kis barhaman ne kaha tha ki ye saal achchha hai

<<====================>>

Qurbatein laakh khub-surat hon
Duriyon mein bhi dilkashi hai abhi


<<====================>>
Ham ko achcha nahin lagta koi hamnam tira
Koi tujh sa ho to phir naam bhi tujh sa rakkhe

<<====================>>
Us ko juda hue bhi zamana bahut hua
Ab kya kahen ye qissa purana bahut hua

<<====================>>

Is se pahle ki be-vafa ho jaaen
Kyuun na ai dost ham juda ho jaaen

<<====================>>

Agar tumhari ana hi ka hai saval to phir
Chalo main haath badhata huun dosti ke liye

<<====================>>

Zindagi se yahi gila hai mujhe
Tu bahut der se mila hai mujhe

<<====================>>

Kisi ko ghar se nikalte hi mil gai manzil
Koi hamari tarah umr bhar safar mein raha
<<====================>>

Tum takalluf ko bhi ikhlas samajhte ho ‘faraz’
Dost hota nahin har haath milane vaala

<<====================>>

hua hai tujh se bichadne ke baad ye maalum
Ki tu nahin tha tire saath ek duniya thi

<<====================>>

Kis kis ko bataene judai ka sabab ham
Tu mujh se khafa hai to zamane ke liye aa

<<====================>>

Ab ke ham bichhde to shayad kabhi khvabon mein milen
Jis tarah sukhe hue phuul kitabon mein milen

<<====================>>
Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa
Aa phir se mujhe chhod ke jaane ke liye aa

<<====================>>

Aashiqui Mein Mir Jaise Khawab Mat Dekha Karo,
Baawle Ho Jaoge Mehtaab Mat Dekha Karo

<<====================>>

Aaj Ek Aur Baras Beet Gaya Uske Begair,
Jiske Hote Huye Hote Thay Zamane Mere

<<====================>>

Gham e Duniya Bhi Gham e Yaar Mein Shamil Karlo,
Nasha Barhta Hai Sharabein Jo Sharabon Mein Milein

<<====================>>

Aankh Se Dur Na Ho Dil Se Utar Jayega,
Waqt Ka Kya Hai Guzarta Hai Guzar Jayega

<<====================>>

Ishq Ke Nashe Mein Doobe Toh Yeh Jaana Hum Ne Faraz,
Ke Dard Mein Tanhai Nahi Hoti, Tanhai Mein Dard Hota Hai

<<====================>>

Jab Tera Dard Mere Sath Wafa Karta Hai
Ek Samundar Meri Aankhon Se Baha Karta Ha,

Jab Khizan Aayi Toh Laut Aaye Ga Woh Bhi Faraz
Woh Baharon Mein Zara Kam Mila Karta Hai

<<====================>>

Dil Ko teri Chahat Pe Bharosa Bhi Bahut Hai,
Aur Tujhse Bichar Jaane Ka Darr Bhi Nahi Jaata

<<====================>>

Main Fana Ho Gaya Woh Badla Phir Bhi Nahi Faraz,
Meri Chahat Se Bhi Sachi Thi Fitrat Uski

<<====================>>

Hum Toh Mohabbat Mein Bhi Tauheed Ke Qail Hain Faraz,
Aik Hee Shaks Ko Mehboob Banaye Rakha Hai

<<====================>>

Mohabbat Mili Toh Neend Bhi Apni Na Rahi Faraz,
Gumnaam Zindagi Thi Toh Kitna Sukoon Tha

<<====================>>

Mohabbat Ke Baad Mohabbat Mumkin Hai Faraz,
Per Toot Ke Chahna Sirf Aik Baar Hota Hai

<<====================>>

Tuta Toh Hoon Magar Abhi Bikhara Nahi Faraz,
Waqt Zalim Hai Har Aik Mor Pe Thukraye Ga

<<====================>>

Ab Is Duniya Mein Koi Aur Mujhe Dil Nahi Dene Wala Faraz,
Log Kehte Hain Meri Aankhon Mein U
ska Chehra Nazar Aata Hai
Powered by Blogger.