kuchh to hawa bhi sard thi kuchh tha tera KHayal bhi - Urdu Hindi Love Poetry

kuchh to hawa bhi sard thi kuchh tha tera KHayal bhi


kuchh to havā bhī sard thī kuchh thā tirā ḳhayāl bhī
dil ko ḳhushī ke saath saath hotā rahā malāl bhī

baat vo aadhī raat kī raat vo puure chāñd kī
chāñd bhī ain chait kā us pe tirā jamāl bhī

sab se nazar bachā ke vo mujh ko kuchh aise dekhtā
ek dafa to ruk ga.ī gardish-e-māh-o-sāl bhī

dil to chamak sakegā kyā phir bhī tarāsh ke dekh leñ
shīsha-girān-e-shahr ke haath kā ye kamāl bhī

us ko na pā sake the jab dil kā ajiib haal thā
ab jo palaT ke dekhiye baat thī kuchh muhāl bhī

merī talab thā ek shaḳhs vo jo nahīñ milā to phir
haath duā se yuuñ girā bhuul gayā savāl bhī

us kī suḳhan-tarāziyāñ mere liye bhī Dhaal thiiñ
us kī hañsī meñ chhup gayā apne ġhamoñ kā haal bhī

gaah qarīb-e-shah-rag gaah ba.īd-e-vahm-o-ḳhvāb
us kī rafāqatoñ meñ raat hijr bhī thā visāl bhī

us ke hī bāzuoñ meñ aur us ko hī sochte rahe
jism kī ḳhvāhishoñ pe the ruuh ke aur jaal bhī

shaam kī nā-samajh havā pūchh rahī hai ik patā
mauj-e-havā-e-kū-e-yār kuchh to mirā ḳhayāl bhī

Chalne Ka Hosla Nahi Rukna Muhal Kar Diya
Ishq Ke Is Safar Ne To Mujh Ko Nidhal Kar Diya

چلنے کا حوصلہ نہیں رکنا محال کر دیا
عشق کے اس سفر نے تو مجھ کو نڈھال کر دیا

चलने का हौसला नहीं रुकना मुहाल कर दिया
इश्क़ के इस सफ़र ने तो मुझ को निढाल कर दिया

Kab Nahin Naaz Uthaye Hain Tumhare Mai Ne
Dekho Aanchal Pe Sajaye Hain Sitare Mai Ne

کب نہیں ناز اُٹھائے ہیں تمہارے میں نے
دیکھو آنچل پے سجاے ہیں ستارے میں نے

Rang-E-Hina Ki Bojh Se Uthna Mohaal Hai...
NazukK Hain Kis Qadar Mere Mehboob Ke Paao'N ..!!

ﯾﮧ ﺍﭼﺎﻧﮏ ﺟﻮ ﺍُﺟﺎﻻ ﺳﺎ ﮨﻮﺍ ﺟﺎﺗﺎ ﮨﮯ
ﺩﻝ ﻧﮯ ﭼﭙﮑﮯ ﺳﮯ ﺗﯿﺮﺍ ﻧﺎﻡ ﭘﮑﺎﺭﺍ ﮨﻮﮔﺎ

Zamane Ke Sawalon Ko Main Hans Ke Taal Dun Lekin
Nami Ankhon Ki Kehti Hai Mujhe Tum Yaad Ate Ho..

یہ کسک کی دل میں چبھی رہ گئی
زندگی میں تمہاری کمی رہ گئی

ایک میں ایک تم ایک دیوار تھی
زندگی آدھی آدھی بٹی رہ گئی

رات کی بھیگی بھیگی چھتوں کی طرح
میری پلکوں پہ تھوڑی نمی رہ گئی

ریت پر آنسوؤں نے تیرے نام کی
جو کہانی لکھی بے پڑھی رہ گئی

میں نے روکا نہیں وہ چلا بھی گیا
بےبسی دور تک دیکھتی رہ گئی

میرے گھر کی طرف دھوپ کی پیٹھ تھی
آتے آتے ادھر چاندنی رہ گئی ​
Powered by Blogger.