Aj Khud Ka Zameer He Sawal Kar Betha
Aj Khud Ka Zameer He Sawal Kar Betha
Kaha Hai Wo Mohabbat Jis Pe Naaz Tha...
Kisi ka dil na dukhana
Usne sabar kar liya to tere liye masla ban jayega
Bas sun Kar Mera lehja wo samajhta hai sab acha
Muddat howi usne Meri ankhen nahi dekhin
jinke akhlaq acche or kirdar umda ho unki s
ohbat talash karo zaruri nahi jinke ird gird
bheer jama ho wohi sahi ho bheer to khel
dikha ke madari bhi jama karleta hai
Do ankhon mai do hi anso
Ik Tere liye ik Teri khati
Ankhon mai de ke anso najane kidhar gaye
Yadain hain bas tumhari hum to jidhar gaye
Aao aur aake mujh ko samaito zara
Tere bagair hum to tinka tinka bikhar gaye
Mere chehre pe ghazal likhti gayin
Sher kehti howi ankhen uski
Kitni purkaif hain Teri ankhen
Sufiyana kalaam ho jaise
Maine rakhdi hain taak par ankhen
Uske aane ki dair hai baaqi
Jitni chahat se tujh ko dekha hai
Itni chahat se Kuch nahi dekha
Apni ankhon mai dekh lene do
Maine muddat se Kuch nahi dekha
Cheekhen bhi yahan ghor se sunta nahi Koi
Kin logon mai tum shair sunane nikal aye
Hath se hath churana zarori to nahi
Sath reh Kar bhi kayi log bichar jate hain
Wo husn o mujasim kamaal uski ankhen
Sarapa muhabbat Jamaal uski ankhen
Jhuken to lagti hain zevar haya ka
Uthen to Karen phir sawal uski ankhen
Milen to mai dono jahan dekar lelon
Wo chehra wo zulfen wo gaal uski ankhen
Agar koi poche ke dunya mai Kya hai
Dewana kahega misaal uski ankhen
In ankhon ke kajal mai dooba hon shayad
Ajab phir chali hain ye chaal uski ankhen
Is qadar pakeeza muhabbat ki hai tumse
Sar utha ke dekha bhi to Sirf paon tak
Har pal dehan mai basne wale
Log afsane hojate hain
Ankhen borhi hojati hain
Khawab purane hojate hain
Tera ye ishq jaan hai tehleel kis qadar
Khud ko bhi dhondte hain to tujh ko pukar ke
Ankh ka kajal hon teri na roya kar itna
Rone se teri mit'ta hai wajood mera
Chup chaap guzaar denge tere bina bhi ye zindagi
Logon ko sekha denge muhabbat aise bhi hoti hai
Ab ke tajdeed-e-wafa ka nahi imkaan janaan
Yaad kya tujh ko dilaein tera peman janaan
Younhi mosam ki ada dekh ke yaad aya hai
Kis kadar jald badal jaate hein insaan janaan
Zindagi teri aata thi so tere naam ki hai
Hum ne jaise bhi basar ki tera ehsaan janaan
Dil yeh kehta hai ke shaid ho afsurda tu bhi
Dil ki kya baat karein dil to hai nadaan janaa
Post a Comment